Saturday, 18 August 2007

Hindi poem on an Engineer

Engineer woh hain jo aksar phasta hain
Interviews ke sawaal mey
Badi companiyon ke jaal mey
Boss aur client ke bawaal mey

Engineer woh hain jo pak gaya hain
Meetings ki jhelai mey
Submissions ki gehraai mey
Teamwork ki chataai mey

Engineer woh hain jo laga rehta hain
Schedule ko failane mey
Targets ko khiskaane mey
Roz naye-naye bahaane banane mey

Engineer woh hain jo
lunch time mey Breakfast karta hain
Dinner time mey Lunch karta hain aur
Commutation ke waqt soya karta hain

Engineer woh hain jo paagal hain
Chai aur samose ke pyaar mey
Cigarette ke khumaar mey
Birdwatching ke vichaar mey

Engineer woh hain jo khoya hain
Reminders ke jawaab mey
Na milne waale hisaab mey
Behtar Bhavishya ke khwaab mey

Engineer woh hain jise intezaar hain
Weekend nights par dhoom machaane ka
Boss ke chutti par jaane ka
Increment ki khabar aane ka

Engineer woh hain jo sochta hain
Kaash padhaai par dhyaan diya hota
Kaash teacher se panga na liya hota
Kaash ishq na kiya hota.... Kaash....

No comments:

Post a Comment

Caste Equations in Maharashtra Assembly Elections 2024

  Election season is upon us, with excitement brewing after the elections in Haryana and the U.S. Presidential elections. Predicting electio...