Sunday 26 August 2007

sher aur shayari

Arz kiya hai :
Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note bichhaa deta hoon
Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note bichhaa deta hoon
Uske jaane ke baad woh sab note utha leta hoon.. (wah,wah,wah, wah....... taaliyon ki gad-gadahat)

Jab tumne thaam lee hai mere jeevan ki dor,
Jab tumne thaam lee hai mere jeevan ki dor,
Yeh dil maange more..Yeh dil maange more.. (wah,wah,wah, wah....... taaliyon ki gad-gadahat)

Pyar mein kitne ghar doob gaye yaaron..
Pyar mein kitne ghar doob gaye yaaron..
Pyar mein pandrah-bees ghar doob gaye yaaron.. (wah,wah,wah, wah....... taaliyon ki gad-gadahat)

Tumko dekha to yeh khayaal aaya
Tumko dekha to yeh khayaal aaya
Ke kal raat maine itna kyon khaya? (wah,wah,wah, wah....... taaliyon ki gad-gadahat)

WOH SADAK KE IS PAAR THI,
HUM SADAK KE US PAR THE;
KUCH HUM AAGE BADHE, KUCH WOH AAGE BADHI;
HUM KUCH AUR AAGE BADHE, WOH BHI KUCH AUR AAGE BADHI;
HUM KUCH AUR AAGE BADHE, WOH BHI KUCH AUR AAGE BADHI;
AB HUM SADAK KE US PAR THE, AUR WOH SADAK KE IS PAR THI.

Aapne mere man se khela,
aapne mere tan se khela,
aapne mere dhan se khela
aapne mere tan, man, dhan se khela...
well played! well played! well played!!

Pyar ke sitaare jab gardish mein hote hai,
Laila ghar mein aur majnoo jail mein hote hai.

Mein tere pyar mein kitna pita chhaliye,
Mein tere pyar mein kitna pita chhaliye,
iodex maliye kaam pe chaliye,

Tum har raat mere khwabon mein aao,
Tum har raat mujhe yuunhi satao,
Melody khao khud jaan jao........

Door se dekha to kuchh dikha nahi,
Door se dekha to kuchh dikha nahi,
Paas jake dekha to kuchh tha hi nahi.

Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai;
Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai;
Nonsense! yeh sab kya ho raha hai?

Main hu yahan, tu hai wahan
Main hu yahan, tu hai wahan
Lifebouy hai jahan, tandurusti hai wahan

before marrige takdir hai magar kismat nahi khulti,
tajmahal banana chahata hoon,
lekin mumtaz nahi milti.
after marriage takdir hai magar kismat nahi khulti,
tajmahal banana chahata hoon,
lekin mumtaz nahi marti.

Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain,
Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain;
JAISE KAL CHAMAK RAHE THE !!!

kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai,
kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai,
ke kyon kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai??

Maine tumse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita;
Maine tumse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita;
Tan ki shakti, manki shakti, Bournvita.

Tum aa gaye ho, noor aa gaya hai;
chalo teeno movie chalen.

Khud ko kar buland itnaa Ke,
Himaalay ki choti pe jaa pahunche Aur khuda tumse puche,
Abe sale gadhe. ab utrega kaise?

Jise dil diya woh dilli chali gayi,
jise pyar kiya woh italy chali gayi;
dil ne kaha khud-kushi(suicide) kar le jalim,
bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi.

Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi joshh ke sath;
Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi shhor ke sath;
Aab hum pyar karenge badi soch ke sath,
Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath.

kaaash ke tere chehre par Chickenpox ke daag hote.
kaaash ke tere chehre par chickenpox ke daag hote.
chand to tu hai hi, sitaare bhee saaath hote...

Ladka bola

kash ein hasinao ke baap mar jate, bahana gam ka hota,
hum inke ghar to jaate. Ladki boli Bewkoof,
Yeh sochana bhi paap hoga, kisi din tu bhi kisi hasina ka baap hoga.

Irshaad.Irshaad
Ladki boli: Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.

Ladka bola: Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya.hoga, Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.

Irshaad.Irshaad
Bewafa sanam se to cigrattee achi hai,
Bewafa sanam se to cigrattee achi hai,
Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai

Ho gayi galti humse, Click ho gaya mouse
Duniya ki parwaah chhodo, ban jaao meri spouse!
***********************************
Tumse mila main kal to,
Mere dil mein hua ek sound,
Lekin aaj tum mili
To kehti ho: Your file not found!
**********************************
Aysa bhi nahin hai ke,
dont likeyour face
Par dil ke computer mein,
Nahin hai enough disk space

**********************************
Tum jabse meri zindagi,
mein aayi ho banke female,
Yaad raha na ab kuch, Na postman , Na e-Mail

No comments:

Post a Comment

Tax Terrorism - How far is it true?

If you or me, a common man or citizen of the country, whose tax is deducted at source failed to file returns, we are taken to task. It even ...